• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Maraz-E-Ishq Jise Ho Use Kya Yaad Rahe

Maraz-E-Ishq Jise Ho Use Kya Yaad Rahe

sheikh-ibrahim-zauq

maraz-e-ishq jise ho use kya yaad rahe

na dava yaad rahe aur na dua yaad rahe

tum jise yaad karo phir use kya yaad rahe

na khudai ki ho parva na khuda yaad rahe

lotte saikdon nakhchir hain kya yaad rahe

chiir do siine men dil ko ki pata yaad rahe

raat ka vaada hai bande se agar banda-navaz

band men de lo girah ta ki zara yaad rahe

qasid-e-ashiq-e-sauda-zada kya laae javab

jab na malum ho ghar aur na pata yaad rahe

dekh bhi lena hamen raah men aur kyuun sahab

ham se munh pher ke jaana ye bhala yaad rahe

tere madhosh se kya hosh o khirad ki ho ummid

raat ka bhi na jise khaya hua yaad rahe

kushta-e-naz ki gardan pe chhuri phero jab

kaash us vaqt tumhen nam-e-khuda yaad rahe

khaak barbad na karna miri us kuche men

tujh se kah deta huun main bad-e-saba yaad rahe

gor tak aae to chhati pe qadam bhi rakh do

koi be-dil idhar aae to pata yaad rahe

tera ashiq na ho asuda ba-zer-e-tuba

khuld men bhi tire kuche ki hava yaad rahe

baaz aa jaaen jafa se jo kabhi aap to phir

yaad ashiq ko na kijega bhala yaad rahe

dagh-e-dil par mire phaha nahin hai angara

charagar liijo na chutki se utha yaad rahe

zakhm-e-dil bole mire dil ke namak-khvaron se

lo bhala kuchh to mohabbat ka maza yaad rahe

hazrat-e-ishq ke maktab men hai talim kuchh aur

yaan likkha yaad rahe aur na padha yaad rahe

gar haqiqat men hai rahna to na rakh khud-bini

bhule banda jo khudi ko to khuda yaad rahe

alam-e-husn khudai hai buton ki ai ‘zauq’

chal ke but-khane men baitho ki khuda yaad rahe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Be-Tarah Dil KHushi Se Darta Hai

Uske honTon Par Sur Mahka Karte Hain

ahmad-adil

Masruf Rahguzar Pe Chala Ja Raha Tha Main

sajida-zaidi

Faqiri Mein

poet

Kya Banae Sane-E-Qudrat Ne Pyare Hath Panw

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet