nama-bar bhi vahan rasa na hua
kisi surat mira bhala na hua
dard ki daad kaun de mujh ko
tu hi jab dard-ashna na hua
vahi matlub ho vahi talib
ik muamma hua ḳhuda na hua
muḳhtasar bhi hai aur jaame bhi
kya hua ka javab kya na hua
haan kaho kuchh hamen bhi ho ma.alum
vo gila kya jo barmala na hua
ishq us dard ka nahin qaa.il
jo musibat ki intiha na hua
tum se takmil-e-jaur ho na saki
is ada ka bhi haq ada na hua
itna pas-e-vafa to hai us ko
bevafa.i se be-vafa na hua
dil-kusha thi nigah-e-naz us ki
tiir kyuun us ka dil-kusha na hua
dil kabhi ḳhush hua to tha lekin
is ka ab zikr kya hua na hua
qabil-e-shukr hai vo sabr ai ‘josh’
jo kabhi dast-e-iltija na hua
Leave a Reply