naam bhi jis ka zaban par tha duaon ki tarah
vo mujhe milta raha na-ashnaon ki tarah
aa ki tere muntazir hain aaj bhi divar-o-dar
gunjta hai ghar men sannaTa sadaon ki tarah
vo shajar jalta raha ḳhud kis kaḌakti dhuup men
jis ka saaya tha mire sar par ghaTaon ki tarah
jhuk rahe the baagh ke sab phuul us ke samne
ghaas par baiTha tha vo farman-ravaon ki tarah
main bhala kaise use ik ajnabi kah duun ‘nasim’
jis ne dekha tha palaT kar ashnaon ki tarah
Leave a Reply