naala shab-e-firaq jo koi nikal gaya
josh-e-junun se chiir ke cahrkh-o-zuhal gaya
puchha mizaj is ka jo rashk-e-masih ne
le kar mariz-e-ishq sambhala sambhal gaya
nikli zaban-e-shama se kya baat raat ko
sunte hi jis ko bazm men parvana jal gaya
ahd-e-shabab chashm-e-zadan men hua tamam
jhonka tha ik nasim ka aa kar nikal gaya
dar-e-fana men kaun hai jis ko qayam hai
koi yahan se aaj gaya koi kal gaya
kaisa hi koi kyuun na ho koi chalak shahsavar
guzra jo rah-e-ishq men vo sar ke bal gaya
ab aai raat dekhen guzarti hai kis tarah
banda-navaz din to bahanon men tal gaya
ye tair-e-nafas bhi to vapas na aaega
jab chhod kar badan ke qafas se nikal gaya
lutf-e-kalam-e-‘mashriqi’ us ko raha bhi yaad
sun kar mushaira men jo meri ghazal gaya
Leave a Reply