nala-e-dil ki to kotahi nahin
par asar kuchh us ko hota hi nahin
kitna vo qatil hai be-khauf-o-khatar
tegh-e-khun-aluda dhota hi nahin
us gali men jis tarah rota huun main
us tarah to koi rota hi nahin
khar-zar-e-ishq ko kya ho gaya
paanv men kante chubhota hi nahin
tark ki lazzat se vaqif kaun hain
gar na hota jaan khota hi nahin
janta gar dil hai mazra yaas ka
tukhm-e-ummid is men bota hi nahin
jon sukhan aata hai silk-e-nazm men
yuun koi moti pirota hi nahin
khvab men ‘joshish’ vo aae kis tarah
ashiq-e-be-tab sota hi nahin
Leave a Reply