nahīñ shu.ūr-e-nazar kisī meñ
hazāroñ ġham haiñ mirī hañsī meñ
nahīñ hai me.aar koī baaqī
na dushmanī meñ na dostī meñ
na chheḌ un ko ai jazba-e-dil
vo ro paḌeñge hañsī hañsī meñ
payambar-e-tīrgī bhī ik din
zarūr ā.eñge raushnī meñ
zarā koī rāhbar se kah de
ki rāz-e-manzil hai gumrahī meñ
mazāq-e-mahfil girā huā hai
na TuuTe dil koī dil-lagī meñ
bujhī huī sham.a saath le kar
bhaTak rahe haiñ vo tīrgī meñ
ḳhudā kā irfāñ yahī hai ‘ashraf’
ki lutf aa jaa.e bandagī meñ