nahin rahoge to kuchh nibhana nahin paḌega
ye sar kaTa lo ki phir uThana nahin paḌega
ye jang hogi tamam ghazi shahid honge
kisi ko maidan se lauT jaana nahin paḌega
ḳhuda ki maano to daal roTi mila karegi
kisi ko miTTi men hal chalana nahin paḌega
kahin rahunga to chhat zarurat rahegi meri
safar karunga to ghar banana nahin paḌega
ye chabiyan hain mire ḳhazane ki paas rakh le
mujhe dobara use chhupana nahin paḌega
usi gali men tamam logon ke ghar banenge
kisi ko milne kahin pe jaana nahin paḌega
qasam ḳhuda ki main koi shikva nahin karunga
tujhe mohabbat men kuchh nibhana nahin paḌega
Leave a Reply