• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nahin Qaul Se Fel Tere Mutabiq

Nahin Qaul Se Fel Tere Mutabiq

poet

nahin qaul se fel tere mutabiq

kahun kis tarah tujh ko ai yaar sadiq

na jannat ke qabil na dozaḳh ke laa.eq

mujhe kyuun kiya ḳhalq ai mere ḳhaliq

hue hijr men vo marz mujh ko lahiq

rahe dang jis men atibba-e-haziq

bharosa karam par hai ham asiyon ko

ghazab par samajhte hain rahm us ka faa.iq

faqat kun.ha zaat us ki ab tak na samjhe

hue munkashif aur saare daqa.eq

jhagaḌ lenge aapas men shaiḳh o barhaman

tujhe kya bakheḌon se o mard-e-ashiq

jo ye us ki rahmat ki tughyaniyan hain

kuja zohd-e-zahid kahan fisq-e-fasiq

kiya nafs ko mujh pe kyuun tu ne ghalib

na tha kya tiri bandagi ke men laa.eq

na rakhna mujhe apni rahmat se mahrum

tiri zaat se hai ye ummid-e-vasiq

na taab aa.egi husn ki tere ai dost

main muusa nahin huun jo jalve ka sha.iq

tajarrud ka aalam tujhe kya bura tha

hua kis liye pa-e-band-e-ala.eq

shikayat ka fiqara zaban tak na aaya

bahar-hal karta raha shukr-e-ḳhaliq

sar o chashm se main baja la.un sahib

jo ḳhidmat koi hove bande ke laa.eq

bhala kis se bahlaun dil is chaman men

na sumbul na nasrin na gul na shaqa.iq

rulate ho ashiq ko be-vaj.h-o-ba.is

hansnegi miri jaan tum par ḳhala.iq

kiye mo.ajaze husn ne donon yakja

shab-e-tira gesu jabin sub.h-e-sadiq

kaha sun ke afsana-e-qai-o-laila

abas karte ho haal men zikr-e-sabiq

gaya vo zamana vo log uḌ ga.e sab

na ma.ashuq vaise rahe ab na ashiq

shunidem nam-o-nishanash nadidem

chu anqast ma.adum yar-e-muafiq

miri jaan muddat se marta huun tujh par

tire chand se munh ka ashiq huun ashiq

hua rashk-e-laila ki furqat men majnun

mira haal aur qais ka hai mutabiq

abas fauq deta hai tu ḳhud ko nadan

kiya ek ko ek par us ne faa.iq

vo munshi bane qudrat-e-haq to dekho

jo maktab men paḌhte the insha-e-fa.iq

dua hai yahi aur yahi hai tamanna

najaf men mare ja ke ye ‘rind’-e-fasiq

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-nadeem-qasmi

Main Wo Shaer Hun Jo Shahon Ka Sana-Khwan Na Hua

allama-iqbal

Iqbaal Ne Kal Ahl-E-Khayaban Ko Sunaya

Har KHushi Maqbaron Pe Likh Di Hai

akbar-allahabadi

Aah Jo dil Se Nikali Jaegi

Ata-E-Gham Pe Bhi KHush Hun Meri KHushi Kya Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet