nahin maalum ab ki saal mai-khane pe kya guzra
hamare tauba kar lene se paimane pe kya guzra
barahman sar ko apne pitta tha dair ke aage
khuda jaane tiri surat se but-khane pe kya guzra
mujhe zanjir kar rakkha hai un shahri ghazalon ne
nahin maalum mere baad virane pe kya guzra
hue hain chuur mere ustukhvan patthar se takra ke
na puchha ye kabhi tu ne ki divane pe kya guzra
‘yaqin’ kab yaar mere soz-e-dil ki daad ko pahunche
kahan hai shama ko parva ki parvane pe kya guzra
Leave a Reply