• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Arz-O-Sama Fareb Na Ye Bahr-O-Bar Fareb

Arz-O-Sama Fareb Na Ye Bahr-O-Bar Fareb

poet

arz-o-sama fareb na ye bahr-o-bar fareb

hai asl men ye saara fareb-e-nazar fareb

pahle se ham gazida-e-ahbab hain bahut

is par ye mustazad ho tu bhi agar fareb

kis kis ko ro.en kucha-e-be-e’tibar men

chara fareb hai to kabhi charagar fareb

bandha tha jo bhi ghar se vo zambil men nahin

aḳhir ko de gaya hamen zad-e-safar fareb

baten hamari aur to sab Thiik hain magar

hain un ke darmiyan ye agar aur magar fareb

hote hain aadmi se ye manus bhi bahut

dete hain ek din yahi divar-o-dar fareb

kya kuchh nahin fareb jahan-e-fareb men

ye mera ijz aur tira karr-o-far fareb

‘nami’ ye sab fareb fareb-e-fareb hai

‘nami’ idhar fareb hai ‘nami’ udhar fareb

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Nasim-E-Subh-E-Bahaar Aae Dil-E-Hazin Ko Qarar Aae

ameer-minai

Uski Hasrat Hai Jise dil Se Mita Bhi Na Sakun

Dil Muzmahil Hai Un Ke KHayalon Ke Bawajud

Un Ka Wada Badal Gaya Hai

Meri Jabin Ka Muqaddar Kahin Raqam Bhi to Ho

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet