nahin kuchh masala ham ko gharon ka
bahut dushvar hai basna dilon ka
use kahna mujhe ijad kar le
mudava huun main us ke sab dukhon ka
tumhare jaal le kar ud raha huun
karishma hai mire tuute paron ka
tumhare baad bhi tanha nahin huun
laga hai ek mela ratjagon ka
tumhari aankh ka moti hai nadir
hamara dil bhi tajir hai nagon ka
kai naslen apahij kar gaya hai
ye jhagda tha koi ghar ke badon ka
barah-e-rast hain suraj ki zad men
khuda-hafiz ho in unche gharon ka
bada shatir siyasat-dan hai vo
use maalum hai bhaav saron ka
Leave a Reply