nahin ki apna zamana bhi to nahin aaya
hamen kisi se nibhana bhi to nahin aaya
jala ke rakh liya hathon ke saath daman tak
tumhen charagh bujhana bhi to nahin aaya
nae makan banae to faslon ki tarah
hamen ye shahr basana bhi to nahin aaya
vo puchhta tha miri aankh bhigne ka sabab
mujhe bahana banana bhi to nahin aaya
‘vasim’ dekhna mud mud ke vo usi ki taraf
kisi ko chhod ke jaana bhi to nahin aaya
Leave a Reply