jism us ke gham men zard-az-na-tavani ho gaya
jama-e-uryani apna zaafrani ho gaya
be-takalluf ho jo baitha khol chhati ke kivad
aina ho munfail dekh us ko paani ho gaya
kya hua bahkae se tere bhala ab ai raqib
akhirash us ne hamari baat maani ho gaya
jaag ai ghafil ki piiri ki hui teri sahar
kat gai ghaflat ki shab ahd-e-javani ho gaya
Leave a Reply