• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nahin Chamke Ye Hansne Mein Tumhaare Dant Anjum Se

Nahin Chamke Ye Hansne Mein Tumhaare Dant Anjum Se

poet

nahin chamke ye hansne men tumhare daant anjum se

nikal aa.i taḌap kar barq aghosh-e-tabassum se

karo tum mujh se baten aur main baten karun tum se

kalim-ullah ho ja.un main ejaz-e-takallum se

sada-e-lan-tarani aati hai un ke takallum se

gira den tur-e-dil par sa.iqa barq-e-tabassum se

falak ko vajd hoga ai pari tere tabassum se

utar aa.egi zohra raqs karti bazm-e-anjum se

ye shauq-e-mai-kashi majnun bana kar mujh ko laaya hai

nikal aa.e kahin laila-e-mai bhi mahmil-e-ḳham se

kiya danton ko rangin vaah rahi baton ki rangini

lagi ab-e-guhar men aag lo barq-e-tabassum se

samand-e-naz ki Tapon se sar Takra.en sab ashiq

pila sharbat shahadat ka kisi din kasa-e-sam se

jo vo mehr-e-sip.har-e-husn nache apni mahfil men

to zohra mash.al-e-mah le ke aa.e bazm-e-anjum se

usi din phuul hain jis din vo gul turbat pe aa baiThe

sivum se kuchh gharaz mujh ko na kuchh matlab hai panjum se

jo uljhe mohtasib maiḳhane men ham jaa.en masjid ko

ḳhuda ke ghar chalen sar phoḌ kar ḳhisht-e-sar-e-ḳhum se

firaq-e-yar men meri tarah se ye bhi ro.e hain

savad-e-shab nahin kajal baha hai chashm-e-anjum se

hua main rind-mashrab ḳhaak mar kar is tamanna men

namaz aḳhir paḌenge vo kisi din to tayammum se

vahi chitvan vahi tevar miri ankhon men phirte hain

ghazab men paḌ gaya dekha abas tum ne tarahhum se

kahan tak eḌiyan ragḌen gala kaaTo gala kaaTo

uThao tum na ḳhanjar baaz aaya is tarahhum se

jo va.ada karte ho to sadma-e-furqat na dikhlana

masiha hote ho mash.hur ji uThta huun main tum se

mudallal jo suḳhan apna hai vo burhan-e-qate.a hai

tabi.at men ravani hai ziyada haft-qulzum se

mare hain ishq men ik gul ke kyuun qur.an mangate ho

paḌhi jaa.e gulistan men sivum men bab-e-panjum se

jo pahunche ta-falak shohra tumhari ḳhud-faroshi ka

ḳharidari ko aa.e mushtari bazar-e-anjum se

evaz chune ke gaara laa.e mai ka chahiye saaqi

hamari qabr agar pakki ho to ḳhisht-e-sar-e-ḳhum se

hamesha ḳhaak chhanvaoge misl-e-qais sahra ki

‘qalaq’ ko ye na thi ummid ai laila-manash tum se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hain Mere zaKHm Ki Ranaiyan Ajib-O-Gharib

Lagan Zindagi Ki Jagani paDegi

Wahin Par Mera Sim-Tan Bhi to Hai

poet

Qadam Qadam Pe Gire uTThe Bar Bar Chale

Har Samt Rang-O-Nur Ka Dariya Dikhai De

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet