• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Isi Surat Se Taskin-E-Dil-E-Nashad Karte Hain

Isi Surat Se Taskin-E-Dil-E-Nashad Karte Hain

isi surat se taskin-e-dil-e-nashad karte hain

abhi tak yaad aate ho abhi tak yaad karte hain

tabahi par hamari shikva-e-sayyad karte hain

chaman men hain kuchh aise bhi jo ham ko yaad karte hain

mohabbat naam hai us ka ta.alluq naam hai us ka

na ham azad hote hain na vo azad karte hain

vafa ka naam jab uTh ja.ega bedard duniya se

vo ro.enge bahut ham ko jo ab barbad karte hain

zamane se nirala hai karam sayyad-o-gulchin ka

jala kar ashiyan kahte hain ab azad karte hain

qafas hi ab nasheman hai qafas hi sahn-e-gulshan hai

asiron se kaho kyuun minnat-e-sayyad karte hain

samajh rakkha hai bazicha unhon ne dil ki duniya ko

kabhi abad karte hain kabhi barbad karte hain

kabhi apna samajh kar jin ko siine se lagaya tha

ajab aalam hai ‘arif’ vo hamen barbad karte hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

But Bane Rah Takoge Kab Tak

poet

Maut Apni Jaan Ai dil Gardish-E-Aflak Ko

Chahta Ye Hun Ki Benam-O-Nishan Ho Jaun

Aawara Bu-E-Gul Ki Tarah Hain Chaman Se Dur

Misal-E-Ishq Talab Ki Jo Usne Tashrihan

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet