• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nahin Aaram Ek Ja Dil Ko

Nahin Aaram Ek Ja Dil Ko

poet

nahin aram ek ja dil ko

aah kya jaane kya hua dil ko

ai butan mohtaram rakho is ko

kahte hain ḳhana-e-ḳhuda dil ko

le to jaate ho mehrban lekin

kiijo mat aap se juda dil ko

munh na phera kabhi jafa se tiri

afrin dil ko marhaba dil ko

ye tavaqqo.a na thi hamen hargiz

ki dikhaoge ye jafa dil ko

hain yahi Dhang aap ke to ḳhair

kyuun na phir dijiyega aa dil ko

aḳhir us tifl-e-shoḳh ne dekha

TukḌe juun shisha kar diya dal ko

aaj lagti hai kuchh baghal ḳhali

kaun siine se le gaya dil ko

ham to kahte hain tujh ko ai ‘bedar’

kiijo mat us se ashna dil ko

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tha KHafa Mujhse Bad-Guman Bhi Tha

rafia-shabnam-abidi

Abr Chhaya Tha Fazaon Mein Teri Baaton Ka

sheikh-ibrahim-zauq

Hangama Garm Hasti-E-Na-Paedar Ka

Meri Tarah Se Kahin KHak Chhanta Hoga

poet

Bagh Mein Tu Kabhu Jo Hansta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet