Nafas Nafas Iztirab Mein Tha

nafas nafas iztirāb meñ thā

maiñ halqa-e-sad-itāb meñ thā

sabhī nazāre nazar meñ gum the

ki saarā manzar hijāb meñ thā

paḌhā to kuchh bhī na haath aayā

likhā bahut kuchh kitāb meñ thā

lahū kī aahaT pe chauñk uTThā

vo muddatoñ jaise ḳhvāb meñ thā

diloñ meñ raushan na.ī kahānī

purānā qissa kitāb meñ thā

bas ik hunar tah-ba-tah munavvar

bas ik suḳhan intiḳhāb meñ thā

maiñ us kī ḳhushbū meñ gum thā ‘aḳhtar’

vo mere ġham ke hisāb meñ thā

Leave a Comment