na.e libās ko ham tār-tār kyā karte
milī thī bhiik meñ fasl-e-bahār kyā karte
ham apne zaḳhm-e-tamannā shumār kyā karte
tamām umr yahī kārobār kyā karte
jab āftāb ka.ī apnī dastaras meñ rahe
tumhīñ kaho ki charāġhoñ se pyaar kyā karte
hamāre haath meñ patthar the phal girāne ko
ham āñdhiy.oñ kā bhalā intizār kyā karte
kabhī ham apnī vafāoñ se mutma.in na hue
nigāh-e-yār tujhe sharmsār kyā karte
hamārā dard bhī kuchh tum se muḳhtalif to na thā
ham ahl-e-zarf the chīḳh-o-pukār kyā karte
unheñ bhī apnī ḳhushī thī aziiz ai ‘asrār’
jo merā dil na dukhāte to yaar kyā karte