kal kal karti jaati nadiya
kitni hansti gaati nadiya
jivan ka sangit sunati
bal khati sharmati nadiya
paani se bhar jaati hai jab
sagar men mil jaati nadiya
maujen lahren jhilmil jhilmil
sab ke dil ko bhati nadiya
apne gham ko sah jaati hai
har dam hansti gaati nadiya
sukh dukh ko ho sathi jaise
raah men aati jaati nadiya
Leave a Reply