nadi thi kashtiyan thiin chandni thi jharna tha
guzar gaya jo zamana kahan guzarna tha
mujhi ko rona paḌa ratjage ka jashn jo tha
shab-e-firaq vo taara nahin utarna tha
mire jalal ko karna tha ḳham sar-e-taslim
tire jamal ka shiraza bhi bikharna tha
tire junun ne ik naam de diya varna
mujhe to yuun bhi ye sahra ubuur karna tha
ik aisa zaḳhm ki jis par ḳhizan ka saaya na tha
ik aisa pal ki jo har haal men Thaharna tha
Leave a Reply