na tarz-e-ḳhas na andaz-e-gul-fishan le kar
pukarta huun main tujh ko tiri zaban le kar
tamam husn-e-tamanna dhuan dhuan le kar
nigah bujh hi ga.i raat ka saman le kar
miri bahar-e-tamanna ko javedan kar de
main kya karunga bhala umr-e-ra.egan le kar
tumhare bazm ka dastur chahe jo bhi ho
tumhari bazm men aaya huun main zaban le kar
ab aur kitna tamasha bana.egi qismat
phirun main apna janaza kahan kahan le kar
mujhe hi raas na aa.i ye bad-nasib zaban
to kya karoge miyan tum miri zaban le kar
ye pastiyon ki lakiren na chhu sakengi mujhe
main ghar se nikla huun ankhon men asman le kar
suhag jis ki juda.i men ujḌa ujḌa hai
kabhi to lauTega sone ki chuḌiyan le kar
tumhara aa.ina kaise na ehtiram kare
miri ghazal bhi to aa.i hai kahkashan le kar
ḳhirad ki resham-o-atlas-navaz mahfil men
junun chala hai gareban ki dhajjiyan le kar
mizaj bachchon ke jaisa hai ab bhi ‘qaisar’ ka
bahut hi ḳhush hai vo kaghaz ki titliyan le kar
Leave a Reply