na-shagufta kaliyon men shauq hai tabassum ka
baar sah nahin saktin der tak talatum ka
jaane kitni fariyaden Dhal rahi hain naghmon men
chhiḌ rahi hai dukh ki baat naam hai tarannum ka
kitne be-karan dariya paar kar liye ham ne
mauj mauj men jin ki zor tha talatum ka
ai ḳhayal ki kaliyo aur muskura letin
kuchh abhi to aaya tha rang sa tabassum ka
guftugu kisi se ho tera dhyan rahta hai
TuuT TuuT jaata hai silsila takallum ka
hasrat o mohabbat se dekhte raho ‘javed’
haath aa nahin sakta husn mah-o-anjum ka
Leave a Reply