• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bazm-E-Nashat-O-Aish Ka Saman Liye Hue

Bazm-E-Nashat-O-Aish Ka Saman Liye Hue

bazm-e-nashat-o-aish ka saman liye hue

aa.i saba bahar-e-gulistan liye hue

uḌta phira junun ye saman liye hue

ya.ani hamare jeb-o-gareban liye hue

kab tak jiyega dar-e-fana men bata to de

sar men ghurur-e-alam-e-imkan liye hue

mere junun-e-ishq ki vus.at na puchhiye

hai zarra zarra zor-e-bayaban liye hue

jis ko uTha sake na pahaḌ aur na asman

vo bar-e-gham hain hazrat-e-insan liye hue

mere liye to bahr-e-alam ka ye haal hai

jo mauj uThi vo aa.i hai tufan liye hue

ik majma-e-bahar-o-ḳhizan hai mira vajud

phirta huun saath gardish-e-dauran liye hue

asan ho kyuun na ahl-e-tajassus ko rah-e-shauq

hain apne saath zauq-e-faravan liye hue

pheri laga raha huun ḳharidar ki hai fikr

phirta huun sar pe main gham-e-dauran liye hue

bahar-e-niyaz-e-naz ham aa.e hain le ke dil

dil men hujum-e-hasrat-o-arman liye hue

‘ḳhushtar’ mujhe hai naaz ki allah ke huzur

ja.unga dil men daulat-e-iman liye hue

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sukun Hai Hamnawa-E-Iztirab Aahista Aahista

abdul-ahad-saaz

Maut Se Aage Soch Ke Aana Phir Ji Lena

poet

Hai KHamoshi-E-Intizar Bala

Aise Mile Nasib Se Sare KHuda Ki Bas

KHud Fasle Hi Wasl Ki Tahrik Ho Gae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet