dil nahin us lab-e-khandan ki taraf jaata hai
tishna-lab chashma-e-haivan ki taraf jaata hai
yaar tujh bin mujhe le jaate hain yuun baagh men khinch
jaise mujrim koi zindan ki taraf jaata hai
mahv yaan tak huun tasavvur men tire az-rah-e-shauq
haath har dam tire daman ki taraf jaata hai
bad-guman ye huun ki saath uth ke chala jaata huun
vahm gar kucha-e-janan ki taraf jaata hai
kya kisi parda-nashin par hai tu ashiq ‘maruf’
chhup ke jo gosha-e-pinhan ki taraf jaata hai
Leave a Reply