na sah sakunga gham-e-zat go akela main
kahan tak aur kisi par karun bharosa main
hunar vo hai ki jiyun chand ban kar ankhon men
rahun dilon men qayamat ki tarah barpa main
vo rang rang ke chhinTe paḌe ki is ke ba.ad
kabhi na phir na.e kapḌe pahan ke nikla main
na sirf ye ki zamana hi mujh pe hansta hai
bana hua huun ḳhud apne liye tamasha main
mujhe sameTne aaya bhi tha koi jis vaqt
dayar o dasht o daman men bikhar raha tha main
ye kis tarah ki mohabbat thi kaisa rishta tha
ki hijr ne na rulaya use na taḌpa main
paḌa rahun na qafas men to kya karun aḳhir
ki dekhta huun bahut duur tak dhundlaka main
bahut malul huun ai surat-ashna tujh se
ki tere samne kyuun aa gaya sarapa main
yahi nahin ki tujhi ko na thi umiid aisi
mujhe bhi ilm nahin tha ki ye karunga main
main ḳhaak hi se bana tha tu kaash yuun banta
ki us ke haath se girte hi TuuT jaata main
Leave a Reply