gardish-e-charkh se qayam nahin
subh ghar men huun main to shaam nahin
kabhi to munh se boliye sahab
be-dahan ho to kuchh kalam nahin
jan-ba-lab huun firaq-dil-bar men
subh jiita raha to shaam nahin
kis ke zulfon ke baal bikhre hain
mere nabzon men intizam nahin
roz-o-shab zikr-e-zulf-o-arif hai
ye kahani kabhi tamam nahin
kya raqibon se main jihad karun
mere hamrah vo imaam nahin
tera divana mar gaya shayad
aaj galiyon men azhdaham nahin
hijr men ye sharab hai tezab
haath par aabla hai jaam nahin
kya samajh kar ye naaz karte hain
amradon ka koi ghulam nahin
valvale the shabab tak apne
ab hamari vo dhum-dham nahin
is taraf se hain sajde par sajde
us taraf se kabhi salam nahin
dil ko le kar alag hue aise
ki kabhi tum ko ham se kaam nahin
mauj dariya-e-paemali hai
us jafakar ka khiram nahin
bosa le kar maza mila mujh ko
hanzal us ka zaqan hai aam nahin
kis ke bal par vo shokh hai maghrur
khat-e-shab-rang fauj-e-sham nahin
‘bahr’ bahke hue hain ahl-e-dil
nashsha-e-ab-e-zar mudam nahin
Leave a Reply