ashk ankhon ke andar na raha hai na rahega
ye tifl hai abtar na raha hai na rahega
mun.im na ho maghrur sada paas kasu ke
sim-o-zar-o-gauhar na raha hai na rahega
gar aish mayassar ho to kar liije kam-o-besh
sab vaqt barabar na raha hai na rahega
ankhon se isi tarah agar sail ravan hai
duniya men koi ghar na raha hai na rahega
jab duḳhtar-e-raz le ke ‘huzur’ aa gaya saaqi
phir zohd baradar na raha hai na rahega
Leave a Reply