na puchhiye ki kaha kya hai an-kahi kya hai
azaab jhel raha huun suḳhanvari kya hai
ajab hai zauq-e-tamasha ki ghar jala kar log
ye chahte hain samajhna ki raushni kya hai
pas-e-nazar ho agar maqsad-e-hayat to phir
ye ziist vaqt guzari hai zindagi kya hai
main multaji huun na vo multafit magar phir bhi
ye ek aag dilon men lagi hui kya hai
main dil ke daagh dikha.un ki zaḳhm-e-sar un ko
jo puchhte hain ki mafhum-e-dosti kya hai
Leave a Reply