na puchh martaba-o-shan-e-ḳhak-dan-e-majaz
zamin-e-arsh se uncha hai asman-e-majaz
ye ḳhuub jante hain jo hain raz-dan-e-majaz
zaban ahal-e-haqiqat ki hai zaban-e-majaz
hudud-e-arsh-o-azal marhalat-e-hashr-o-abad
hain sab ye silsila-e-sharh-e-dastan-e-majaz
ye raaz ahl-e-ḳhirad se magar nahin maḳhfi
ki ḳhud zaban-e-haqiqat hai tarjuman-e-majaz
nigah ahl-e-nazar ki bhi ho ga.i majbur
hazar parda-e-hairat hain darmiyan-e-majaz
vajud kya ki adam ka bhi e’tibar nahin
kahan rukega ḳhuda jaane karvan-e-majaz
rumuz-e-ḳhas yahan tak hue hain faash ki ab
haqiqaton pe bhi aksar ko hai guman-e-majaz
Leave a Reply