na mil saka tari lahron men bhi qarar mujhe
samundar apni tahon men zara utaar mujhe
hava ke paanv ki aahaT gulab ki chiḳhen
suni hain main ne adalat zara pukar mujhe
main baar baar tire vaste bikhar ja.un
tu baar baar mire a.ine sanvar mujhe
falak ko toḌ duun main apni aah se lekin
zamin valon se be-intiha hai pyaar mujhe
ik us ki zaat se jab mera e’tibar uTha
to phir kisi pe bhi aaya na e’tibar mujhe
Leave a Reply