na mauj-e-bada na zulfon na in ghaTaon ne
mujhe Dasa hai miri shola-za navaon ne
gham-e-hayat se Takra ke giit ban jaana
sikha diya hai mujhe aap ki duaon ne
jo kaj-kulah-e-dayar-e-tarab hain sab kuchh hain
mujhe to luuT liya hai miri vafaon ne
kabhi kabhi to suna hai hila diye hain mahal
hamare aise gharibon ki iltijaon ne
tumhara husn ho ya meri sha.eri un ko
amar kiya hai mohabbat ki atmaon ne
gham-e-hayat o gham-e-dil bahut sahi lekin
koi saval kiya hai abhi ghaTaon ne
kisi chaman kisi gul-pairahan ke ghar jaa.en
mujhi ko taak liya madh-bhari havaon ne
ajiib baat hai main jab bhi kuchh udaas hua
diya sahara harifon ki bad-duaon ne
main but-kadon se maqabir men girne vaala tha
magar sambhal liya ḳhush-nazar ḳhudaon ne
ḳhabar hai garm ki ik tark-e-lucknow ko ‘salam’
asiir kar liya dilli ki apsaraon ne
Leave a Reply