• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Na Malal-E-Hijr Na Muntazir Hain Hawa-E-Sham-E-Visal Ke

Na Malal-E-Hijr Na Muntazir Hain Hawa-E-Sham-E-Visal Ke

na malal-e-hijr na muntazir hain hava-e-sham-e-visal ke

ham asiir apni hi zaat ke kisi ḳhvab ke na ḳhayal ke

mire shauq-e-sair-o-safar ko ab na.e ik jahan ki numud kar

tire bahr o bar ko to rakh diya hai kabhi ka main ne khangal ke

vo hamin the jin ke kamal ki hai ye ka.enat bhi mo’tarif

vahi ham ki aaj tamash-bin hue ḳhud hi apne zaval ke

jo navah-e-jan men muqim hain unhin mausamon ka tilism hai

kabhi jaam uchhale nashat ke kabhi rang uḌaa.e malal ke

vahi sub.h o shaam ke marhale vahi ḳhaal o aab ke silsile

vahi qisse nan-o-namak ke hain vahi jhagḌe mal-o-manal ke

tira a.ina huun main zindagi tire aks ka main amiin huun

hai miri shikast tira ziyan mujhe rakh bacha ke sambhal ke

mire kar-zar-e-hayat men na koi najib na kam-nasab

yahan naam sirf hunar ka hai yahan charche bas hain kamal ke

nahin gardishon men jo vaqt ki ho ata vo sa.at-e-mavara

na to ibtida ho na intiha na hon silsile mah o saal ke

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Bachche Ki Zid Ko Ab to Mera Etibar De

Didani Ab Safar-E-Zist Ka Manzar Hoga

Tumhaara Adl-E-Jahangir Aur Hi Kuchh Hai

mushafi-ghulam-hamdani

Aae Ho To Ye Hijab Kya Hai

poet

Lowe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet