na maiñ samjhā na aap aa.e kahīñ se
pasīna pochhiye apnī jabīñ se
chalī aatī hai hoñToñ par shikāyat
nadāmat Tapkī paḌtī hai jabīñ se
agar sach hai hasīnoñ meñ talavvun
to hai ummīd-e-vasl un kī nahīñ se
kahāñ kī dil-lagī kaisī mohabbat
mujhe ik laag hai jān-e-hazīñ se
idhar laao zarā dast-e-hinā.ī
pakaḌ deñ chor dil kā ham yahīñ se
junūñ meñ is ġhazab kī ḳhaak uḌaa.ī
banāyā āsmāñ ham ne zamīñ se
vahāñ āshiq-kushī hai ain-īmāñ
unheñ kyā bahs ‘anvar’ kufr-o-dīñ se