• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Na Laga Le Gae Jahan Dil Ko

Na Laga Le Gae Jahan Dil Ko

na laga le ga.e jahan dil ko

aah le ja.iye kahan dil ko

mujh se le to chale ho dekho par

toḌiyo mat kahin miyan dil ko

aazma aur jis men chahe tu

sabr men kar na imtihan dil ko

yuun to kya baat hai tiri lekin

vo na nikla jo tha guman dil ko

rakh na tu ab daregh nim-nigah

maar mat dekh nim-jan dil ko

aah kya kiije yaan banaya hai

dil-girafta hi ghuncha saan dil ko

mar gaya pis gaya na ki par aah

afrin aise be-zaban dil ko

dushmani tu hi is se karta hai

dost rakhta hai ik jahan dil ko

mehrbani to ki na zahir men

rakhiye baare tu mehrban dil ko

lijiyega na lijiyega phir

dekhiye to sahi butan dil ko

azmana kahin na saḳhti se

dekhiyo mere na-tavan dil ko

tu bhi ji men use jagah diijo

manzilat thi ‘asar’ ke haan dil ko

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ismail-merathi

Insan Ko Chahiye Na Himmat Haare

Teri Mahfil Mein Sitare Koi Jugnu Laya

Nasim-E-Subh Kyun iThla Rahi Hai

poet

Aaina Tumhaare Naqsh-E-Pa Ka

aaKHir Wo Iztirab Ke Din Bhi Guzar Gae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet