na kyuun tir-e-nazar guzre jigar se
kahin ye vaar rukte hain sipar se
kisi se ishq apna kya chhupaen
mohabbat tapki padti hai nazar se
hui hai un ke mushtaqon se rah band
vo mere ghar bhala aaen kidhar se
bhala dil ka kahan milna ki un ki
nazar bhi to nahin milti nazar se
mujhe divar hairat ne banaya
gaya hai jhank kar ye kaun dar se
kabhi tuten kabhi sayyad kaate
gharaz udna nahin hai bal-o-par se
kahan ki pairvi jab qasd ye ho
ki aage badh ke chaliye rahbar se
na kholenge to ye tutega akhir
ki main takra raha huun sar ko dar se
ladai ka na main todunga phir taar
zara si chhed ho jaae udhar se
agar jaati hai jaan milta hai janan
hamen to nafa afzun hai zarar se
raha dil men na hargiz tiir us ka
hamen khatka yahi tha peshtar se
sivae shar na kuchh dekha adu se
khuda mahfuz rakkhe us bashar se
hua go paemal-e-ghair ‘majruh’
na sarka yaar ke par rahguzar se
Leave a Reply