na kisi se karam ki ummid rakhen na kisi ke sitam ka ḳhayal karen
hamen kaun se ranj mile hain na.e ki jo dil ke ziyan ka malal karen
abhi sirf ḳhayal hai ḳhvab-numa abhi sarf-e-nazar hai sarab-numa
zara aur ḳharab ho vaz-e-junun to vo zahmat-e-pursish-e-hal karen
vahi shahr hai shahr ke log vahi gham-e-ḳhanda o sang o salib vahi
yahan aa.e hain kaun se aise saḳhi ki jo lutf-e-suḳhan ka saval karen
sune kaun ye ta.ana-e-chara-gari sahe kaun ye dagh-e-kamal-e-rafu
chalo dard-e-vajud jaga.en sahar chalo zaḳhm-e-hayat bahal karen
Leave a Reply