na khulī āñkhoñ se dahshat kā nazārā dekhnā
jo hamārā hai use auroñ kā hotā dekhnā
rū-ba-rū us ko nazar bhar dekh bhī sakte nahīñ
haa.e kitnā dukh bharā hai ḳhud ko aisā dekhnā
kyā ajab sā rog bīnā.ī ko merī lag gayā
har kisī chehre meñ bas us kā hī chehra dekhnā
ishq meñ pathrā chukī āñkhoñ se hai mushkil bahut
chāñd ko Thahre hue paanī meñ chaltā dekhnā
haa.e kyā manzar-kashī ubhrī hai is tasvīr meñ
rotī āñkhoñ se kisī pyāse kā dariyā dekhnā
raat bhar bechainiyāñ sone nahīñ detīñ mujhe
aur din bhar raat ke hone kā rasta dekhnā
maut ham se do qadam ke fāsle par hai khaḌī
ab bahut dilchasp hogā ye tamāshā dekhnā