na karta zabt main naala to phir aisa dhuan hota
ki niche asman ke aur paida asman hota
kahe hai murgh-e-dil ai kaash men zagh-e-kaman hota
ki ta shakh-e-kaman par us ki mera ashiyan hota
abhi kya sard qatil ye shahid-e-tufta-jan hota
koi dam sham-e-murda men bhi hai baaqi dhuan hota
na hoti dil men kavish gar kisi ki nok-e-mizhgan ki
to kyuun haq men mire har mu-e-tan misl-e-sinan hota
aza-dari men hai kis ki ye charkh-e-matami-jama
ki habib-e-chak ki surat hai khatt-e-kahkahshan hota
bagula gar na hota vadi-e-vahshat men ai majnun
to gumbad ham se sar-gashton ki turbat par kahan hota
jo rota khol kar dil tangna-e-dahr men ashiq
to ju-e-kahkashan men bhi falak par khuun ravan hota
na rakhta gar na rakhta munh pe ye daana mariz-e-gham
magar tera mayassar bosa-e-khal-e-dahan hota
tire khunin jigar ki khaak par hota agar sabza
to mizhgan ki tarah us se bhi paiham khuun ravan hota
rukavat dil ki us kafir ke vaqt-e-zabh zahir hai
ki khanjar meri gardan par hai ruk ruk kar ravan hota
na karta zabt main girya to ai ‘zauq’ ik ghadi bhar men
katore ki tarah ghadiyal ke gharq asman hota
Leave a Reply