ham-safar koi nahin to shor-o-shar kis ke liye
ai musafir ye sada-e-rahguzar kis ke liye
ḳhud se ab tak baaz rakkha main ne apne aap ko
mar to jaana tha mujhe marta magar kis ke liye
kaun aaya hai mire pichhe ye kaisa vahm hai
main Thahar jaata huun har ik moḌ par kis ke liye
ye jo rang-e-na-muradi khil raha hai char-su
ai ḳhizan is ka sabab kya hai ye zar kis ke liye
chain bahar bhi nahin hai phir na jaane kyuun ‘zafar’
dukh sa hota hai ki lauT aaya huun ghar kis ke liye
Leave a Reply