• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Na Jaane Kab Ji Tumhaara Bahle Main Tang Tum Se Ab Aa Raha Hun

Na Jaane Kab Ji Tumhaara Bahle Main Tang Tum Se Ab Aa Raha Hun

na jaane kab ji tumhara bahle main tang tum se ab aa raha huun

ki jitne qisse bane nahin the ziyada us se suna raha huun

baḌa hi dushvar hai safar men bharosa qaa.em bana.e rakhna

tamam dhoke vo kha raha hai tamam dhoke main kha raha huun

yuun bhole ban ke bhi kya karoge chalo sikhate hain ik chalaki

mujhe badan tum hi apna de do badan main de ke hi aa raha huun

jo dekhna hai to dekh hi lo hai kitni asan ye mohabbat

vo mujh se pichha chhuḌa rahi hai main us se pichha chhuḌa raha huun

likhi ga.i hai na.i ibarat vo saara qissa ajiib hi hai

suna.en qissa ki jaane den ham suna raha huun suna raha huun

jo tum sunoge to bor hoge tavil hai ye hamara qissa

tavil qisse ko kar ke chhoTa miTa miTa ke suna raha huun

jo raaz khole to dekh lena hai tum se ham ko vafa ki ummid

vo baat meri bata raha hai main baat us ki bata raha huun

haan tum ko mujh se nahin rahi hai vo pahle jaisi hasin mohabbat

tum apna hissa nibha rahi ho main apna hissa nibha raha huun

na jaane kitni hi baar main ne tha tum ko ullu bana.e rakha

yaqin karoge yuun tum bhi kab tab chalo main qissa suna raha huun

to bachche kar ke ye fa.eda hai yaqin barabar bana hua hai

vo kha rahi hai tamam qasmen tamam main bhi to kha raha huun

na jaane kya hai jo jal rahi hai kahin ye apni hi chiiz to na.iin

kya aag dil men laga rahe ho haan aag dil men laga raha huun

ye baat tum ne bhi sun rakhi hai ki koi ham ko hai takta rahta

tabhi chhupa ke rakhi ho ham ko tabhi main tum ko chhupa raha huun

jo aag hoti hai tanha rahne ki aag vo tum vo laga rahe ho

ḳhuda kabhi to sunega meri ḳhuda ko apne bula raha huun

hai baat karna hi kaam mera to kaam ki baat kya hi hongi

batani thi yaar ye shurua men lo ja ke ab main bata raha huun

chhaḌi hui hai vo jang apni ki kaun jiita ki kaun haara

vo mera parda gira raha hai main us se parda haTa raha huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Aankh Lag Jati Hai Phir Bhi Jagta Rahta Hun Main

poet

Ai Rashk-E-Mahr Koi Bhi Tujh Sa Hasin Nahin

poet

Hawa Mein Zor Udhar Sud-O-Ziyan Ka

Dastar-E-Hunar baKHshish-E-Darbar Nahin Hai

poet

Shakhon Par Jab Patte Hilne Lagte Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet