na hota dard to vapas sanvar bhi sakta tha
Thahar gaya hai jo lamha guzar bhi sakta tha
nadi ki or gaya tha isi irade se
palaT gaya huun miri jaan utar bhi sakta tha
mujhe talash karengi vo bholi ankhen kal
vagarna zaḳhm the itne ki mar bhi sakta tha
ye aur baat kisi aur ka na rahne diya
vo ek shaḳhs jo bhitar Thahar bhi sakta tha
jise nasib hon yaden udaas angan ki
kabhi vo hanste hue ro bikhar bhi sakta tha
Leave a Reply