na ho shabab to kaifiyyat-e-sharab kahan
na ho shabab to kaifiyyat-e-shabab kahan
chala huun kaabe ko lekin chala nahin jaata
na ho jo shauq hi dil men to iztirab kahan
adu ki bazm men dushman hazar baithe hain
mila bhi haae vo kafir to be-hijab kahan
kisi tarah shab-e-gham ki sahar nahin hoti
khuda hi jaane ki duuba hai aftab kahan
haram men baithe ho ‘mail’ khuda khuda kiije
yahan vo saqi-e-mehvash kahan sharab kahan
Leave a Reply