na ho jis pe bharosa us se ham yaari nahin rakhte
ham apne ashiyan ke paas chingari nahin rakhte
faqat nam-e-mohabbat par hukumat kar nahin sakte
jo dushman se kabhi ladne ki tayyari nahin rakhte
kharidaron men rah kar zindagi vo bik bhi jaate hain
tire bazar men jo log hushyari nahin rakhte
banao ghar na mitti ke lab-e-sahil ai nadanon
samundar to kinaron se vafadari nahin rakhte
ana ko sakhti-e-halat aksar tod deti hai
isi dar se kabhi fitrat men khuddari nahin rakhte
dar-o-divar se un ke bhala kya aaegi khushbu
jo ghar ke sahn men phulon ki ik kyari nahin rakhte
faqat lafzon se ham ‘dana’ hunar ki daad lete hain
qalam vaale kabhi shauq-e-adakari nahin rakhte
Leave a Reply