na gul se hai gharaz tere na hai gulzar se matlab
rakha chashm-e-nazar shabnam men apne yaar se matlab
ye dil dam-e-nigah men tark ke bas ja hi atka hai
bar aave kis tarah allah ab khun-khvar se matlab
ba-juz haq ke nahin hai ghair se hargiz tavaqqo kuchh
magar duniya ke logon men mujhe hai pyaar se matlab
na samjha ham ko tu ne yaar aisi jan-fishani par
bhala pavenge ai nadan kisi hushyar se matlab
na ‘chanda’ ko tamaa jannat ki ne khauf-e-jahannam hai
rahe hai do-jahan men haidar-e-karrar se matlab
Leave a Reply