bahut hi parde men izhar-e-arzu karte
nigahen kahti hain ham un se guftugu karte
sharab-e-nab se saaqi jo ham vuzu karte
haram ke log tavaf-e-khum-o-subu karte
vo mil ke dast-e-hinai se dil lahu karte
ham aarzu to hasin khun-e-arzu karte
darogh-bafi-e-dushman ka haal kya khulta
jo parda chaak bhi hota to vo rafu karte
utaar laate unhen bam-e-tur se dil men
ham ikhtiyar vo andaz-e-guftugu karte
dare vo kyuun mire phulon men aati mil ke hina
ye phuul khaak tamanna-e-rang-o-bu karte
kalim ko na ghash aata na tuur hi jalta
dabi zaban se izhar-e-arzu karte
jo zarf-e-ab hamen mai-kade men mil jaata
namaz kaabe men padhte yahan vuzu karte
mah-e-siyam men mauqa jo shab ko mil jaata
to ek saans men khali khum-o-subu karte
sharab piite hi sajde men un ko girna tha
ye shaghl baith ke mai-nosh qibla-ru karte
har ek qatre se bahti riyaz ju-e-sharab
jo pi ke ham sar-e-zamzam kabhi vuzu karte
Leave a Reply