na fasle koi rakhna na qurbaten rakhna
bas ab ba-qadr-e-ghazal us se nisbaten rakhna
ye kis ta.alluq-e-ḳhatir ka de raha hai suragh
kabhi kabhi tira mujh se shikayaten rakhna
main apne sach ko chhupa.un to ruuh shor macha.e
azaab ho gaya mera sama.aten rakhna
faza-e-shahr men ab ke baḌi kudurat hai
bahut sambhal ke apni mohabbaten rakhna
ham ahl-e-fan ko bhi gum-namiyan thiin raas bahut
hua hai ba.is-e-rusva.i shohraten rakhna
qasida-ḳhvani karo aur mauj uḌaao ki ‘shauq’
tamam kar-e-ziyan hai sadaqaten rakhna
Leave a Reply