koi sunta hi nahin kis ko sunane lag jaa.en
dard agar uTThe to kya shor machane lag jaa.en
bhed aisa ki girah jis ki talab karti hai umr
ramz aisa ki samajhne men zamane lag jaa.en
aa gaya vo to dil o jaan bichhe hain har-su
aur nahin aa.e to kya ḳhaak uḌane lag jaa.en
teri ankhon ki qasam ham ko ye mumkin hi nahin
tu na ho aur ye manzar bhi suhane lag jaa.en
vahshaten itni baḌha de ki gharaunde Dha den
sabz shaḳhon se parindon ko uḌane lag jaa.en
aisa daaru ho rah-e-ishq se baaz aa.en qadam
aisa chara ho ki bas hosh Thikane lag jaa.en
Leave a Reply