na dekhunga hasinon ko are tauba na dekhunga
taqaza laakh tu kar ai dil-e-shaida na dekhunga
karun naseh main kyunkar haa.e ye va.ada na dekhunga
nazar paḌ ja.egi ḳhud hi jo danista na dekhunga
nigah-e-naz ko teri main sharminda na dekhunga
haTa.e leta huun apni nazar achchha na dekhunga
vo kahte hain na samjhunga tujhe ‘majzub’ main ashiq
ki jab tak kucha o bazar men rusva na dekhunga
bala se main agar ro ro ke bina.i bhi kho baiThun
karunga kya in ankhon ko jo vo jalva na dekhunga
bala se mere dil par meri jaan kuchh hi guzar jaa.e
main teri ḳhatir-e-nazuk ko azurda na dekhunga
uTha.unga na zaanu se main hargiz apna sar hamdam
are main apni ankhon se unhen jaata na dekhunga
hasinon se vahi phir hazrat-e-dil dida-bazi hai
abhi to kar rahe the aap ye daava na dekhunga
zara ai naseh-e-farzana chal kar sun to do baten
na hoga phir bhi tu ‘majzub’ ka divana dekhunga
Leave a Reply