na be-kali ka hunar hai na jan-faza.i ka
hamen to shauq hai bas yunhi nai-nava.i ka
jab us ko janne nikle to kuchh nahin jaana
ḳhuda se ham ko bhi da.ava tha ashna.i ka
rah-e-hayat men koi nahin to kya shikva
hamen gila hai to bas apni bevafa.i ka
hamari ankhon se shabnam Tapak rahi hai abhi
yahi to vaqt hai us gul ki ru-numa.i ka
use kahan hamen qaidi bana ke rakhna tha
hamin ko shauq nahin tha kabhi riha.i ka
Leave a Reply