ai ishq na chhed aa aa ke hamen ham bhule huon ko yaad na kar
pahle hi bahut nashad hain ham tu aur hamen nashad na kar
qismat ka sitam hi kam nahin kuchh ye taaza sitam ijad na kar
yuun zulm na kar be-dad na kar
ai ishq hamen barbad na kar
jis din se mile hain donon ka sab chain gaya aram gaya
chehron se bahar-e-subh gai aankhon se farogh-e-sham gaya
hathon se khushi ka jaam chhuta honton se hansi ka naam gaya
ghamgin na bana nashad na kar
ai ishq hamen barbad na kar
ham raton ko uth kar rote hain ro ro ke duaen karte hain
aankhon men tasavvur dil men khalish sar dhunte hain aahen bharte hain
ai ishq ye kaisa rog laga jiite hain na zalim marte hain
ye zulm tu ai jallad na kar
ai ishq hamen barbad na kar
ye rog laga hai jab se hamen ranjida huun main bimar hai vo
har vaqt tapish har vaqt khalish be-khvab huun main bedar hai vo
jiine pe idhar bezar huun main marne pe udhar tayar hai vo
aur zabt kahe fariyad na kar
ai ishq hamen barbad na kar
jis din se bandha hai dhyan tira ghabrae hue se rahte hain
har vaqt tasavvur kar kar ke sharmae hue se rahte hain
kumhlae hue phulon ki tarah kumhlae hue se rahte hain
pamal na kar barbad na kar
ai ishq hamen barbad na kar
bedard! zara insaf to kar is umr men aur maghmum hai vo
phulon ki tarah nazuk hai abhi taron ki tarah maasum hai vo
ye husn sitam! ye ranj ghazab! majbur huun main mazlum hai vo
mazlum pe yuun be-dad na kar
ai ishq hamen barbad na kar
ai ishq khudara dekh kahin vo shokh-e-hazin bad-nam na ho
vo mah-laqa bad-nam na ho vo zohra-jabin bad-nam na ho
namus ka us ke paas rahe vo parda-nashin bad-nam na ho
us parda-nashin ko yaad na kar
ai ishq hamen barbad na kar
ummid ki jhuti jannat ke rah rah ke na dikhla khvab hamen
ainda ki farzi ishrat ke vaadon se na kar betab hamen
kahta hai zamana jis ko khushi aati hai nazar kamyab hamen
chhod aisi khushi ko yaad na kar
ai ishq hamen barbad na kar
kya samjhe the aur tu kya nikla ye soch ke hi hairan hain ham
hai pahle-pahal ka tajraba aur kam-umr hain ham anjan hain ham
ai ishq! khudara! rahm-o-karam maasum hain ham nadan hain ham
nadan hain ham nashad na kar
ai ishq hamen barbad na kar
vo raaz hai ye gham aah jise pa jaae koi to khair nahin
aankhon se jab aansu bahte hain aa jaae koi to khair nahin
zalim hai ye duniya dil ko yahan bha jaae koi to khair nahin
hai zulm magar fariyad na kar
ai ishq hamen barbad na kar
do din hi men ahd-e-tifli ke maasum zamane bhuul gae
aankhon se vo khushiyan mit si gaiin lab ko vo tarane bhuul gae
un paak bahishti khvabon ke dilchasp fasane bhuul gae
in khvabon si yuun azad na kar
ai ishq hamen barbad na kar
us jan-e-haya ka bas nahin kuchh be-bas hai parae bas men hai
be-dard dilon ko kya hai khabar jo pyaar yahan aapas men hai
hai bebasi zahr aur pyaar hai ras ye zahr chhupa is ras men hai
kahti hai haya fariyad na kar
ai ishq hamen barbad na kar
aankhon ko ye kya azar hua har jazb-e-nihan par ro dena
ahang-e-tarab par jhuk jaana avaz-e-fughan par ro dena
barbat ki sada par ro dena mutrib ke bayan par ro dena
ehsas ko gham buniyad na kar
ai ishq hamen barbad na kar
har dam abadi rahat ka saman dikhla ke hamen dil-gir na kar
lillah habab-e-ab-e-ravan par naqsh-e-baqa tahrir na kar
mayusi ke ramte badal par ummid ke ghar taamir na kar
taamir na kar abad na kar
ai ishq hamen barbad na kar
ji chahta hai ik dusre ko yuun aath pahar ham yaad karen
aankhon men basaen khvabon ko aur dil men khayal abad karen
khalvat men bhi ho jalvat ka saman vahdat ko dui se shaad karen
ye arzuen ijad na kar
ai ishq hamen barbad na kar
duniya ka tamasha dekh liya ghamgin si hai betab si hai
ummid yahan ik vahm si hai taskin yahan ik khvab si hai
duniya men khushi ka naam nahin duniya men khushi nayab si hai
duniya men khushi ko yaad na kar
ai ishq hamen barbad na kar
Leave a Reply